YOUR HEART

Monday 26 March 2012

chamakte chand ko

chamakte chand ko
chamakte chand ko tuta hua tara bana dala
meri aawargi ne mujhko aawara bana dala
chamakte



bada dilkash bada rangeen hai yeh shehar kehte hain
yahan par hain hazaron ghar gharon mein log rehte hain
mujhe is shehar ne galiyon ka banjara bana dala
chamakte chand...

main is duniya ko aksar dekh kar hairaan hota hun
na mujhse ban saka chhota saghar,din raat rota hun
khudaya tune kaise ye jahan sara bana dala
chamakte chand...



mere malik, mera dil kyun tadapta hai, sulagta hai
teri marzi , teri marzi pe kiska zor chalta hai
kisi ko gul, kisi ko tune angara bana dala
chamakte chand...

yehi aagaz tha mera, yehi anjam hona tha
mujhe barbaad hona tha, mujhe nakaam hona tha
mujhe taqdeer ne taqdeer ka mara bana dala
chamakte chand...

No comments:

Post a Comment