YOUR HEART

Tuesday 27 March 2012

Dilke Sannaton Mein Rehne Wale Tanha Tum Hi Nahi,

Dilke Sannaton Mein Rehne Wale Tanha Tum Hi Nahi,
Tanhayi Se Baatein Karne Wale Tanha Tum Hi Nahi,

Is Ishq Ne Barbaad Kiya Hai Har Shakhs Ko,
Is Ishq Mein Bikharne Wale Tanha Tum Hi Nahi,

Kehne Ko To Faqt Ek Dil Hi Toota Hai,
Apna Sab Kuch Lutane Wale Tanha Tum Hi Nahi,

Hanste Hue Chehre Hai Yahan Sabke,
Dard Yun Chhupane Wale Tanha Tum Hi Nahi,

Shab-E-Tanhayi Ki Dastan Ek Si Hai Sabki,
Andheron Mein Rehne Wale Tanha Tum Hi Nahi,

Aisa Lagta Hai Ek Saza Ho Zindagi Meri,
Is Qaid Mein Rehne Wale Tanha Tum Hi Nahi,

Is Sheher Mein Aur Bhi Deewane Hai SAHIL,
Dar Dar Bhatakne Wale Tanha Tum Hi Nahi...

Majal Hai Koi Tujhse Mujhe Juda Kar De

Majal Hai Koi Tujhse Mujhe Juda Kar De
Jahan Bhi Jayega Tu Main Tujhe Sada Dunga,

Teri Gali Mein Bahtu Der Se Khada Hoon Magar,
Kisine Puchh Liya To Jawab Kya Dunga,

Meri Khamoshi Nigahon Ko Chashm-E-Nam Se Na Dekh,
Main Ro Pada To Dilon Ke Tabaq Hila Dunga,

Yunhi Udaas Raha Main To Dekhna Ek Din,
Tamam Sheher Mein Veeraniyan Bichha Dunga,

Wo Dard Hi Na Raha Warna Aye Maat-E-Dil,
Mujhe Guman Bhi Na Tha Main Tujhe Bhula Dunga,

Abhi To Raat Hai Kuch Der So Lo,
Koi Bulayega To Main Tujhe Jaga Dunga...

Monday 26 March 2012

Tera Nashaa Player's lyrics

Kyun dooriyan..hai darmiyaan
Badh jaane de..nazdeekiyan
Har saans mein..mehsoos kar
In saanson ki..madhoshiyan

Tera nasha aise chadhe
Tera nasha zidd pe ade
Tera nasha aise naa jaaye
Jhoom jhoom jhoom jhoomta hun

Tera nasha mujhko hua
Tera nasha hai khwaab sa
Tera nasha aise naa jaaye
Jhoom jhoom jhoom jhoomta hun main

Bus teri aankhon se
Peena hai jeena hai
Aise hi mujhe
Mujhe..
Rehna nahi hai
Ab hosh mein
Hosh mein..
Zulfon ke saaye mein
Mujhko chupaale
Humesha ke liye
Bhar le mujhe tu
Aagosh mein

Tere siwaa jaaon kahan
Tu hi mere dono jahan
Pehlu mein tere khudko paakar
Jhoom jhoom jhoom jhoomta hun

Tera nasha mujhko hua
Tera nasha hai khwaab sa
Tera nasha aise naa jaaye
Jhoom jhoom jhoom jhoomta hun main
Main..

Khwabon khayalon mein
Uljhe sawalon mein
Tu hi tu bassi
Tu aarzoo hai
Tu justujoo justujoo
Tere ishaaron pe
Chalti hai rukti hai
Saansein yeh meri
Rehna tu aise..hi rubaroo

Ab toh meri aadat hai tu
Aadat kya jaroorat hai tu
Tujhko apne dil se lagaakar
Jhoom jhoom jhoom jhoomta hun

Tera nasha mujhko hua
Tera nasha hai khwaab sa
Tera nasha aise naa jaaye
Jhoom jhoom jhoom jhoomta hun main

dikha ke neecha kisi

dikha ke neecha kisi ko hidayate(z) kaisi
jata ke chhota kisi ko mahbbate(z) kaisi

dilo ko dena khushi bhi sawab hota hai
dukha ke dil ko kisi ke ibaadate kaisi

paraye dard pe aansu bhi kuch bahaya karo
khud apne dard pe rone ki aadate kaisi

ye zindagi bhi khuda ki ek aazmaeesh hai
to zindagi ke gamo ki shikayate kaisi

garib logo ko apna banaye rakhiyega
faqat ameero se milna sharafte kaisi

hamesha darna bado se darana chhoto ko
hamari duniya ki yeh hain rawayate kaisi

buraeeyon ko aur aibo ko doondna sab me
hamaare khoon me aayi hain khaslate kaisi

hai zindagi ka safar to nibhana rishto ka
zara si baat pe aapas me nafrate kaisi

bahut hi thodi si hoti hai zindagi asif
to mukhtasar se safar me adawate kaisi

Aksar socha karta hun

Aksar socha karta hun
Mai hi sabse achha hun

Sabki sunta rehta hun
Apne dil ki karta hun

Jjise matlab hota hai
Unko apna kehta hun

Chhote rishtedaaro se
Thodi doori rakhta hun

Unche naatedaaro se
Mai khud jaker milta hun

Jinpar rutba paisa ho
Unse yaari karta hun

Saathi hun mazloomo ka
Zalim se bhi milta hun

Parwaale hai hairat me
Itnaa uncha udhta hun

Haiwano si harkat hain
Insaano sa dikhta hun

Rab se sabkuchh paya hai
Phir bhi rota rehta hun

Saare rishte naate hain
Lekin bilkul tanha hun

Sab achha ho jaayega
Ummido per zinda hun

Mai Sohaib hun jaisa bhi
Socho kya tum jaisa hun?????

Aag se sirf jism jalta hai

Aag se sirf jism jalta hai
Dil magar pyar se pigalta hai

Shamma teri hyaat ki khatir
Mom ka rom rom jalta hai

Dekho naazuk se mom ki himmat
Aag shano pe le ke chalta hai

Phool ke saath reh ke bhi kaata
Apni fitrat nahi badlta hai

Thodhi der aag jal ke bujh jaaye
Per dhuan der tak nikalta hai

Kitne thande se ho gaye rishte
Inko chhone se hath jalta hai

BantTe hain wo saari dunya ko
Fir bhi sikka unhi ka chalta hai

Zindagi lagti hai saza jaisi
Fir bhi jeene ko dil machalta hai

Dil ki hasrat hai aur jeene ki
Bas burhape se dil dehlta hai

Apne andar to jhhank le ASIF
aayna kis liye badlta hai

MOHABBAT KI KASAM HUM, WAFA KAR RAHE HAIN

MOHABBAT KI KASAM HUM, WAFA KAR RAHE HAIN
UNKI NAZAR MEIN SHAYAD ,KHATA KAR RAHE HAIN
RUTHE RUTHE SE HAIN WO MANAYEIN BHI TO KAISE
KHABAR HI NAHIN KYUN RUTHE HAIN WO HUMSE

MOHABBAT KI KASAM HUM, WAFA KAR RAHE HAIN
UNKI NAZAR MEIN SHAYAD ,KHATA KAR RAHE HAIN

PAL PAL MEIN EK PAL ISTARAH BHI AAYA
UNKE HI FIKR MEIN JEE MERA GHABRAYA
UNKE LIYE HAMESHA KHUDA SE,DUA KAR RAHE HAIN

MOHABBAT KI KASAM HUM, WAFA KAR RAHE HAIN
UNKI NAZAR MEIN SHAYAD ,KHATA KAR RAHE HAIN

JAB BHI KABHI KAHIN UNSE MULAKAAT HUI
HAAN SIRF SHIKWE SHIKAYATON KI BAAT HUI
KHAMOKHAN KYUN WO HUMSE,GILA KAR RAHE HAIN

MOHABBAT KI KASAM HUM, WAFA KAR RAHE HAIN
UNKI NAZAR MEIN SHAYAD ,KHATA KAR RAHE HAIN

DEKHTE HI WO HUMSE NAZREIN CHURATE HAIN
MERE KAREEB AANE PAR DOOR CHALEJATE HAIN
BE WAZAH WO MERE DIL PE,ZAFA KAR RAHE HAIN

MOHABBAT KI KASAM HUM, WAFA KAR RAHE HAIN
UNKI NAZAR MEIN SHAYAD ,KHATA KAR RAHE HAIN

JUDAA HAI WO MUJHSE ,KHAFA NAHIN

JUDAA HAI WO MUJHSE ,KHAFA NAHIN
BEBAS HAI WO MAGAR ,BEWAFA NAHIN
KAISE SAMJHAOON TUMKO O YARON
USKI TARAH YAHAN KOI,DUJAA NAHIN

Ye yakin yakin yakin
Yakin hai mujhe uspe uspe uspe
Uspe fida meri jaan jaan jaan
Jaan hi dedun main is pyar mein
Pyar mein jaan se badhkar, tohfaa nahin……….twice

JUDAA HAI WO MUJHSE ,KHAFA NAHIN
BEBAS HAI WO MAGAR ,BEWAFA NAHIN
KAISE SAMJHAOON TUMKO O YARON
USKI TARAH YAHAN KOI,DUJAA NAHIN

Sari duniya duniya duniya
Duniya kahe to na maanu maanu maanu
Maanu ek apna usko usko usko
Usko pata hai kya hai wafa wafa wafa
Wafa hi wafa hai uske dil mein, dhokha nahin……….twice

JUDAA HAI WO MUJHSE ,KHAFA NAHIN
BEBAS HAI WO MAGAR ,BEWAFA NAHIN
KAISE SAMJHAOON TUMKO O YARON
USKI TARAH YAHAN KOI,DUJAA NAHIN

Kehna Hi Parra Un ko Ye, khat Parh k Hamara

Kehna Hi Parra Un ko Ye, khat Parh k Hamara~

~Kam'bakhat ki Hr Baat Mohabbat Sy Bhari Hai

Yadoon ka ik jhoonka aya hum se milnay barsoon bad

Yadoon ka ik jhoonka aya hum se milnay barsoon bad
Pehlay itna roye nahi thay jitna roye barsoon bad

Lamha lamha ghar ujhra hai mushkil se Ehsas huwa hai

Pathar aye barsoon pehlay sheeshay totay barsoon bad

Aaj hamaray huq pe duniya ronay dhonay bethi hai
Phool hoye hain itnay sastay jannay kaisay barsoon bad

Bhool bhi jaoo kis ne torda, kaisay torda, kion torda

Dhoond rahay ho kia ghalioon main dil ke tukray barsoon bad

Dastk ki umeed lagye kab tuk jeetay hain

Kal ka wada kernay walay milnay aye barsoon bad

Ay Ishq Humay Burbad Na Kar

Ay Ishq Humay Burbad Na Kar

Ay Ishq Na Cher Aa Aakay Humay
Hum Bholay Hoo-on Ko Yad Na Kar
Pehly He Bohat Nashad Hain Hum
Tu Aur Humain Nashad Na Kar

Kismat Ka Sitam He Kum Naheen Kuch
Ye Taaza Sitam Ijad Na Kar
Youn Zulm Na Kr Baydar Na Kar

Ay Ishq Humay Burbad Na Kar, Burbad Na Kar

Raton Ko Uth-Uth Kar Roty Hain
Ro-Rokay Duain Karty
Ankhon Ma Tasawur Dil Ma Khalish
Sur Dhondty Hain Ahain Bharty Hain

Ay Ishq Y Kaisa Rog Laga
Jeety Hain Na Zalim Marty Hain
In Khuwabon Se Yooun Azaad Na Kar

Ay Ishq Hamain Barbaad Na Kr Barbaad Na Kar

Jis Unse Buna Tha Ha Dhyaan Tera
Ghabraye Howay Se Rehty Hain
Her Waqt Tasawur Kr Kr K
Sharmaye Howay Se Rehty Hain

Kamkhilaey Howay Pholon Ki Tara
Kamkhilaey Howay Rehty Hain
Pamaal Na Kr Bydaar Na Kr

Ay Ishq Hamain Barbaad Na Kr Barbaad Na Kr
Ay Ishq Hamain Barbaad Na Kr Barbaad Na Kr

“MUJHE AUR KAHiN LE CHAL”

 
“MUJHE AUR KAHiN LE CHAL”
Jahan RAAT Kabhi SOi Na Ho,
Jahan SUBAH Kisi Pe ROi Na Ho,
Jahan Hijr Ne Wehshat BOi Na Ho,
Jahan Koi CHEEZ Kisi Ki KHOi Na Ho,
Jahan LOG Hon Sare BEGANE,
Jahan Sab K Sab Hon DEEWANE,
Jahan Koi Jhoot Ho
Na AFSANE,
Jahan Koi “HAM” Ko Na PEHCHANE,
“MUJHE auR KAHiN Le CHAL ”
Jahan Nafrat DiL Me BAS Na Ske,
Jahan Koi KisiKo DASS Na Sake,
Jahan Koi Kisi Pe HANSS Na Sake,
“MUJHE OR KAHiN LAY CHAL ,

hum tere shahar me aaye hai musafir ki tarah

hum tere shahar me aaye hai musafir ki tarah
sirf ek bar mulakat ka mauka de de

Meri Manzil Hai Kahan Mera Thikana Hai Kaha
Subah Tak Tujh Se Bichhad kar Mujhe Jaana Hai Kaha
Sochne Ke Liye Ek Raat Ka Mauqa De De

Apani Aankho Mein Chhupa Rakkhe Hai Juganu Maine
Apani Palko Pe Saja Rakkhe Hain Aansu Maine
Meri Aankho Ko Bhi Barsaat Ka Mauqa De De

Aaj Ki Raat Mera Dard-e-Muhabbat Sun Le
Kap Kapate Huae Hotho Ki Shikayat Sun Le
Aaj Izhar-e-Khayalat Ka mauqa De De

Bhulana Tha Toh Ye Iqraar kiyaa hi Kyuu Tha
Bewafa Tune mujhe Pyar Kiya Hi Kyun tha
Sirf Do-Chaar Sawalat Ka Mauqa De De

Itni muddat baad mile ho

Itni muddat baad mile ho
Kin sochon mein goom rahte ho

Tej hawaa ne mujhase pucha
Ret pe kya likhte rahte ho

Kaunsi baat hai tumme aaise
Itni achchi kyun lagte ho

Hamse na pucho hizr kisse
Apni koho, ab tum kaise ho.

Jabse Tune Mujhe Deewana Bana Rakha Hai


jabase tuune mujhe deewaana bana rakha hai
sang har shaks ne haathon mein utha rakha hai

usake dil par bhi kadi ishq mein guzari hogi
naam jisane bhi muhabbat ka sazaa rakha hai

pattharon aaj mere sar pe barasate kyon ho
mainne tujhako bhi kabhi apana khuda rakha hai

ab mere deed ki duniya bhi tamaashaai hai
toone kya mujhako mohabbat mein bana rakha h

chamakte chand ko

chamakte chand ko
chamakte chand ko tuta hua tara bana dala
meri aawargi ne mujhko aawara bana dala
chamakte



bada dilkash bada rangeen hai yeh shehar kehte hain
yahan par hain hazaron ghar gharon mein log rehte hain
mujhe is shehar ne galiyon ka banjara bana dala
chamakte chand...

main is duniya ko aksar dekh kar hairaan hota hun
na mujhse ban saka chhota saghar,din raat rota hun
khudaya tune kaise ye jahan sara bana dala
chamakte chand...



mere malik, mera dil kyun tadapta hai, sulagta hai
teri marzi , teri marzi pe kiska zor chalta hai
kisi ko gul, kisi ko tune angara bana dala
chamakte chand...

yehi aagaz tha mera, yehi anjam hona tha
mujhe barbaad hona tha, mujhe nakaam hona tha
mujhe taqdeer ne taqdeer ka mara bana dala
chamakte chand...

Ghum Shum Ghum Shum

Be Parwah DilBar De Dil Wicho
Be Parwas DilBar De Dil Wicho
Taras Zara na Aaya

Ek hi Dil oh si Takdi Da
Ek hi Dil oh si Takdi Da
Oh vi chak Ghadri wich paaya


Ghum Shum Ghum Shum Pyaar da Mausam
Aaj na Dard Jagaavi
Halki Halki Barse Badli
Sajna Door na Jaayi
Ghum Shum Ghum Shum Pyaar da Mausam
Aaj na Dard Jagaavi
Ghum Shum.....

Boohe Baariya Main Doh Doh Baindi hain..
Tu ho na Khafaa.. Sajna..
Ve Main teri aa..
Main tenu kehndi han..
Tu Paga Wafaa Sajna..

Sara Zamana hai.
Karke Begaana
Deewana.. Tera..
Tere Par Mara..

Ishq Jaga Ke..
Gal naal Laake..
Hun na Nazar Churaavi..
Ghum Shum Ghum Shum Pyaar da Mausam..
Aaj na Dard Jagaavi..
Ghum Shum Ghum Shum..

Sohne Dil Jaaniya
Chad Man Maniya
Sajnaa...
Chapa Challey gaaniya..
Dil da nishaniya..
Sajnaa..

Mausam bahar da ni..
ni Gidhe Ikraar da ni..
ni sachey muchey pyaar da ni..
Tenu waaja maarda ni..
Mausam bahar da ni..
Gidhe Ikraar da ni..
Sachey muchey pyaar da ni..
Tenu waaja maarda ni..

Rafta Rafta .. yovan dhal jaaye..
eh na gal tu bhulaavi
Ghum Shum Ghum Shum Pyaar da Mausam..
Aaj na Dard Jagaavi..
Halki Halki..
Barse Badli
Sajna Door na Jaayi..
Ghum Shum Ghum Shum Pyaar da Mausam..
Aaj na Dard Jagaavi..
Ghum Shum Ghum Shum

Soni Banno Chan Si Chamke

Soni Banno Chan Si Chamke
Mathe Uthe Jhumkar Dame
Palka Uth Diya Ne Thum Thum Ke 
Main Vari Vari Java
Soni Banno Chan Si Chamke
Mathe Uthe Jhumkar Dame
Palka Uth Diya Ne Thum Thum Ke 
Main Vari Vari Java

Tu Vekh Tai Lai Aj Raj Ke
Apne Sariyan Nu
Cheti Apne Nahi Mil De
Ja Banno Pave Khushiyan Te Dil Dariyan Tu 
Pave Armaan Sab Dil De
Tu Vekh Tai Lai Aj Raj Ke
Apne Sariyan Nu
Cheti Apne Nahi Mil De
Ja Banno Pave Khushiyan Te Dil Dariyan Tu 
Pave Armaan Sab Dil De

Tum Ho Gham Ko Chupaye
Main Hoon Sar Ko Jhukaye
Tum Bhi Chup Ho
Main Bho Chup Hoon
Kaun Kise Samjhaye
Ab Dooriyan Itni Hain To 
Milna Yahan Kal Ho Naa Ho
Ab Dooriyan Itni Hain To 
Milna Yahan Kal Ho Naa Ho
Tu Vekh Tai Lai Aj Raj Ke
Apne Sariyan Nu
Cheti Apne Nahi Mil De
Ja Banno Pave Khushiyan Te Dil Dariyan Tu 
Pave Armaan Sab Dil De

Sach Hai Ke Dil To Dukha Hai
Hamne Magar Socha Hai
Dil Ko Hai Gham Kyon
Aankh Hai Nam Kyon 
Hona Hi Tha Jo Hua Hai
Us Baat Ko Jaane Bhi Do 
Jiska Nishaan Kal Ho Naa Ho
Har Pal Yahan Je Bhar Jiyo
Jo Hai Sama Kal Ho Naa Ho

Ya rabba

pyaar hai ya saja, aai mere dil bata
tootata kyon nahi dard ka silsila
is pyaar mein hon kaise kaise imntihaan
ye pyaar likhe kaisi kaisi dastaan
ya rabba de de koi jaan bhi agar
dilbar pe ho na, dilbar pe ho na koi asar
ho ya rabba de de koi jaan bhi agar
dilbar pe ho na, dilbar pe ho na koi asar
pyaar hai ya saja, aai mere dil bata
tootata kyon nahi dard ka silsila

kaisa hai safar wafa ki manjil ka
na hai koi hal dilon ki mushkil ka
dhadkan dhadkan bikhri ranjishein
saansein saansein tooti bandishein
kahi to har lamha honton pe fariyaad hai
kisi ki duniya chaahat mein barbaad hai
ya rabba de de koi jaan bhi agar
dilbar pe ho na, dilbar pe ho na koi asar
ho ya rabba de de koi jaan bhi agar
dilbar pe ho na, dilbar pe ho na koi asar

koi na sune sisakati aanhon ko
koi na dhare tadapati baahon ko
aadhi aadhi puri khwaishein
tooti footi sab farmaaishein
kahin shak hain kahin nafrat ki deewaar hai
kahin jeet mein bhi shamil palpal haar hain
ya rabba de de koi jaan bhi agar
dilbar pe ho na, dilbar pe ho na koi asar
ho ya rabba de de koi jaan bhi agar
dilbar pe ho na, dilbar pe ho na koi asar
ho o o pyaar hai ya saja, aai mere dil bata
tootata kyon nahi dard ka silsila
ho o o o ho o o o
na poocho dard bandon se
hansi kaisi khushi kaisi
musibat sar pe rehati hain
kabhi kaisi kabhi kaisi
ho o o o... rabba, rabba ho o o ho
rabba ho o o, ho o ho rabba

tujhase naaraaz nahi zindagi

tujhase naaraaz nahi zindagi, hairaan hoon main
o hairaan hoon main
tere masoom savalon se pareshaan hooN main
o pareshaan hoon main

jeene ke liye socha hi na tha, dard sambhalane honge
muskuraoon to, muskurane ke karz utaarne honge
muskuraoon kabhi to lagata hai
jaise hontonn pe karz rakhaa hai
tujhase ...

aaj agar bhar ayi hai, boondein baras jaayengi
kal kya pata inke liye aakhen taras jayengi
jaane kahan gum kahan khoya
ek aansu chhupake rakha tha
tujhase ...

zindagi tere gum ne hamain rishte naye samajhaye
mile jo hamain dhoop main mile chhaanv ke thande saaye

Sunday 25 March 2012

Behisi Ki Duniya Main Do Sawal Meray Bhi


Behisi Ki Duniya Main Do Sawal Meray Bhi
Kis Liye Jiya Jaye Kis Tarha Jiya Jaye...

Aaj phir Tumhari Yaad ne Cheen Liye Hosh-o-hawaas mere

Aaj phir Tumhari Yaad ne Cheen Liye Hosh-o-hawaas mere
Pagal ho jayenge hum ek din, agar ye silsila jaari raha

Kuch toh apne muqadar mein anderey thay

Kuch toh apne muqadar mein anderey thay
Kuch teri yaad mein diye bujha kar rona acha laga

Koi thukra de chahat ko to haans kar seh lena

Koi thukra de chahat ko to haans kar seh lena
Muhabat ki tabiyat me zabardasti nahi hoti

Aag k shehr mein tinke ki haqiqat kya thi

Aag k shehr mein tinke ki haqiqat kya thi
Dasht par phool ka saya tha Mohabat kya thi.

Zakhm thy dard tha tanhai thi Veerani thi
Kya bataon ke tere ishq mein rahat kya thi.

Tujko chaha hi nahi teri Ibadt ki hai..
Ek pathar ko magar us ki zarurat kya thi.

Aik muddat huwi Izhar-e-Mohabat kar ke
Aaj tak soch rahi hun k himaqat kya thi.

Kya bataon k yahan pooch rahe hain sab log
Wo jo guzri hai mere Dil pe Qayamt kya thi.

Ishq k ilaqay mein Hukm-e-yar chalta hai

Ishq k ilaqay mein
Hukm-e-yar chalta hai
Zaabtay nahi chaltay
Husn ki adalat mein aajzi toe chalti hei
Mertabay nahi chaltay
Dosti k Rishton ki Perwerish Zroori hei
Silsley ta'aluq k khud say bun toe jatay hein
Lekin in shagoofon ko
Tootnay bikhernay say
Rokna bhee perrta hei
Chahaton ki matti ko
Aarzu k poday ko
seenchna bhi parta hai
ranjishon ki baaton ko
bhoolna bhee parta hai
kyoon k
ishq k ilaqay main
hukm-e-yaar chalta hai
zaabtay nahi chaltay!!

Ankhain Tanha Ho Jati Hain

Ankhain Tanha Ho Jati Hain
Dard Ka Sehraa Ho Jati Hain

Dil Ka Kya Hai dIL Ki Batain
Aksar Ruswaa Ho Jati Hain

Tu Hota Hai Lakin Sha'man
Kaisay Tanha Ho Jati Hain


Tere bin Ye Chandni Ratein
Ghaam Ka Naq'shah Ho Jati Hain

Aasal Ki Janeb Loot K Akheer
Nas'lain Yaq'ja Ho Jati Hain

Kiyun Har Bar Safar Ki Shamain
Tera Chehraa Ho Jati Hain......!

Der tak baithe hue dono ne baarish dekhi

Der tak baithe hue dono ne baarish dekhi…
Wo dikhati thi mujhe bijli ke taaron pe latakti hui boondein.
Jo taqub me thi ek dusre ke..
Aur ek dusre ko chhute hi taaro se tapak jati thi..

Mujhko ye fikr ke bijli ka current
chu gaya nangi kisi taar se toh..
aag ke lag jane ka bhayas hoga.

Usne kaagaz ki kai kashtiyaan paani me utaari.
Aur ye keh ke baha di ke..samander me milenge…

Mujhko ye fikr, ke is baar bhi sailab ka paani…
Kud ke utrega kohsahr se jab..
tod ke le jayega ye kachhe kinaare..

Ouk me bharke wo barsaat ka paani…
adhbhari jheelon ko tarsaati rahi..
Wo bohut choti thi, kamsin thi,
woh masoom bohut thi..
Aabisharon ke tarannum pe
kadam rakhti thi…
aur goonjti thi..

Aur main umr ke ifkaar me ghoom…
tajurbe-humraah liye…,
saath hi saath mein
behta hua…chalta hua… behta gaya
Bhoolta Kon Hai.......!

Bhoolta Kon Hai.......! Waqt K Gha'oo Ko

Hijar K Tand'o'Tufan Ki Bai'yaqeen Laher Main
Wasaal K Khuwab Ki Dob'tee Naa'oo Ko
Bhoolta Kon Hai.......!

Bhoolta Kon Hai.......!

Apne Qateel K Qateel'Kha'Doo'Khaal Ko
Dukh Utha'te Dinoon Or Maa'hoo'Saal Ko
Bhoolta Kon Hai.......!


Bhoolta Kon Hai.......!

Omeer Ki Shaak Par Kheel'nee Wali Us Aa'wale Shaam Ko
Hum Pee Bai'Sabab Jo Laga Hai''Us Elzaam Ko
Bhoolta Kon Hai.......!

Phir Tere Naam Ko
Bhoolta Kon Hai.......!

Aitbaar Nahin Karna

Aitbaar Nahin Karna
Intezaar Nahin Karna
Aitbaar Nahin Karna
Intezaar Nahin Karna
Had Se Bhi Zyaada Tum Kisi Se Pyaar Nahin Karna
Had Se Bhi Zyaada Tum Kisi Se Pyaar Nahin Karna
Ikraar Nahin Karna
Jaan-Nisaar Nahin Karna
Had Se Bhi Zyaada Tum Kisi Se Pyaar Nahin Karna
Had Se Bhi Zyaada Tum Kisi Se Pyaar Nahin Karna

Manzile Bichad Gayi
Raaste Bhi Kho Gaye
Aaye Phir Na Lautke
Jo Deewaane Ho Gaye
Chaahaton Ki Bebasi
Doorio Ke Gum Mile
Bekaraariya Mili
Chain Yaar Kam Mile
Bekaraar Nahi Karna
Intezaar Nahin Karna
Had Se Bhi Zyaada Tum Kisi Se Pyaar Nahin Karna
Had Se Bhi Zyaada Tum Kisi Se Pyaar Nahin Karna

Koi To Wafa Kare
Koi To Jafa Kare
Kisko Hai Pata Yaha
Kaun Kya Khata Kare
Aisa Na Ho Ishq Mein
Koi Dil Ko Tod De
Beech Raah Mein Sanam
Tera Saath Chod De
Izhaar Nahin Karna
Intezaar Nahin Karna
Had Se Bhi Zyaada Tum Kisi Se Pyaar Nahin Karna
Had Se Bhi Zyaada Tum Kisi Se Pyaar Nahin Karna
Aitbaar Nahin Karna
Intezaar Nahin Karna
Had Se Bhi Zyaada Tum Kisi Se Pyaar Nahin Karna
Had Se Bhi Zyaada Tum Kisi Se Pyaar Nahin Karna

Raat bhar sard hawa chalti rahi

Raat bhar sard hawa chalti rahi
Raat bhar hamne alaav taapa
Maine maazi se kai khushk see shaakhien kaati
Tum ne bhi guzre huway lamhon ke patte torre
Meine jaibon se nikali sabhi sukhi nazmain
Tum ne bhi haathon se murjhaaye hue khat khole
Apni in aankhon se meine kai manzer torre
Aur haathon se kai baasi lakeeren phenki
Tum ne, palkon pe nami sookh gayee thee, so gira di
Raat bhar jo bhi mila ugte badan par humko
Kaat ke daal diya jalte alaawon main use
Raat bhar phoonkon se har lau ko jagaye rakha
Aur do jismon ke eendhan ko jalaye rakha
Raat bhar bujhte hue rishte ko taapa humne

tujhe qasam hai saaqiyaa sharaab laa sharaab de

tujhe qasam hai saaqiyaa sharaab laa sharaab de
uThaa subuu nazar milaa sharaab laa sharaab de

har ek aisa jaam ho ke jis pe teraa naam ho
tu apane naam kii pilaa sharaab laa sharaab de

na dil maiN koii Ghum rahe na merii aaNkh nam rahe
har ek dard ko miTaa sharaab laa sharaab de

bahut haseen raat hai tera haseen saath hai
nashay maiN kuch nashaa milaa sharaab laa sharaab de

suroor hai Khumaar hai bahaar hii bahaar hai
magar zara ai dil_ruba sharaab laa sharaab de

Dard kuch dair hi rehta hai buhat dair nahi


Dard kuch dair hi rehta hai buhat dair nahi
Jis tarah shaakh se toray huay aik pattay ka rang
Mand par jata hai kuch roz alag shaakh se reh kar
Shaakh se toot ker yeh dard jeeye ga kab tak…?
Khatam ho jaye gi jab is ki rasad…
Timtimaye ga zara dair ko bujhtay bujhtay…
Aur phir lambi si aik sans dhuan ki le kar…
Khatam ho jaye ga,yeh dard bhi bujh jaye ga
Dard kuch dair hi rehta hai,buhat dair nahi

Zindagi ke jitney darwazy hain mujh par band hain Dekhna

Zindagi ke jitney darwazy hain mujh par band hain
Dekhna
Hadd-e-nazar se aagy barh kar dekhna bhi jurm hy
Sochna
Apne aqeedo’N aur yaqeeno’N se nikal kar sochna bhi jurm hy
“Kyun” bhi kehna jurm hy
“kese” bhi kehna jurm hy
Sans lene ke to aazadi muyassar hy……..magar
Zianda rehny k liay insaan ko…….kuch “aur” bhi darkaar hy
Aur…….is kuch “aur” bhi ka tazkira bhi jurm hy
Aey hunar mandaan-e-aaeen-o-sayasat
Aey khuda vandaan-e-eewan-e-aqaid
Zindagi ke naam par, bas ik inayat chahiay
Mujh ko in sary jarayam ke ijazat chahiay

hum ne soch rakha hai

hum ne soch rakha hai
chahaye dil ki har khoshi
zindagi ki ankhoon say asskh ban kar beh jayee
chahaye ab makanoon par
ghar ki sari dewar chaat samaith gir jayee
or baymuqadar hum
iss badan k malbay main khud hee kiyun daab jayein
magar tum say kuch nahi kehna
kabi nend thi apni'kaise khuwab thai apnay
or ab gulaboon par
nend wali ankhon par
naram kho say khuwaboon par
kiyun azaab toote hain

tum say kuch nahi kehna

ghaar gayee hain raton main
bay libaas batoon main
is taran ki ratoon main
kab ceeragh jalte hain kab azaab talte hain
ab to in azabon say bach kar bhi nikalnay ka rasta nahi janan
jis taran tumhain sach k zawaal lamhoon say wasta nahi jana

hum ne soch rakha hai
tum say kuch nahi kehna......!!

falsafa e ishq main pesh aaye sawaloo ki tarah

falsafa e ishq main pesh aaye sawaloo ki tarah
ham pareshaan hi rahe apane Khayalon ki tarah

sheeshaa gar baiThe rahe zikr-e-masiihaa lekar
aur ham TooT gaye kaaNch ke pyaalon ki tarah

jab bhi anjaam-e-muhabbat ne pukara Khud ko
waqt ne pesh kiyaa ham ko misaalon ki tarah

zikr jab hoga muhabbat maiN tabaahii ka kahin
yaad ham aaiinge duniyaa ko hawaalon ki tarah

Main Guzri Raaton Ko Yaad Kar K

Main Guzri Raaton Ko Yaad Kar K
Woh Khud Se Teri Hi Baat Kar K
Main Sham-E-Manzar Ko Dekhta Hon
Dino Ko Apne Kharab Kar K

Hove Juda Tu Baat Kiya Hai
Main Sochta Hon Ye Yaad Kiya Hai
Bhuja Raha Hon Main Piyaas Apni
Ankho Ko Apni Seraab Kar K

Tumhian Tha Jana Tu Maine Samjha
K Dekho Kitna Main Na Samjh Tha
Jo Mil Na Paya Jawab Mujhko
Gaye Ho Tum Woh Sawal Ban K

Tumhain Hi Her Pal Sochne Se
Hoi Hai Mujhko Maharart Hasill
K Teri Yaadain Mili Hain Mujhko
Haseen Sa Ek Inaam Ban K

Loog Loog Hote Hein


Loog Loog Hote Hein
Roshni Ki Khuwahish Main
Yahan Sadaein Laane Ki
Kuch Saza To Milti Hai
Loog Loog Hote Hen



Loog Loog Hote Hein

In Ko Kya Khabar Jana Ap K Eradoon Ki
Khub'suraat Ankhoon Main
Bas'ne Waloon Khuwaboon K
Rang Kaisay Hote Hein
Loog Loog Hote Hein


Dil Ki Goud Ankhoon Main Pal'ne Walay Khuwaboon K
Zakhaam Kaisay Hote Hein
Kitne Geh'ray Hote Hein
Kab Yeh Soch Sakhte Hein
Ayesee Bai'Ghu'naa Ankhen
Ghar K Konay'Khud'ray Main Laag Kar
Kitna Roote Hen
Phir B Yeh Apne Jaisay Kisi
Ghaam'Zada Dil Say Lag K Rooone Lagte Hein
Loog Loog Hote Hein


Toh'matein To Lagti Hain
Roshni Ki Khuwahish Mein

Toh'matoon K Lagne Say
Dil Say Dost Hoo Jaana
Ab Nee'Dhaal Kya Karna
Tohmatoon Say Kya Darna..!

yohi tanha tanha na khaak ura meri jaan meray kareeb aa

yohi tanha tanha na khaak ura meri jaan meray kareeb aa
main bhi khasta dil ho teri tarha meri maan meray kareeb a’a

mai samnadroo’n ki hawa nahi kay tujh ko dekhaye na day sakoo’n
koi bhola bisra khyaal ho na gumaa’n meray kareeb a’aa

na chupa kay zakhm-e-wafa hai kya, teri arzoo’n ki khata hai kya
teri chara ghar na ye zindagi na jaha’n meray kareeb a’aa

tujhay asay wasoo’n ki dosti nay bohat khrab-o-khajal kya
kisi jhoot ka ye naqaab rukh pay na taan meray kareeb a’aa

jo nikal sakay to nikal lay koi waqt apnay liye kabhi
meray pass beth kar ro to lay kisi aa’n meray kareeb a’aa

main tu us waqt se darta hoon k koi poch na le

main tu us waqt se darta hoon k koi poch na le
ye agar zabt ka aanso tha tu tapka kaise…!!

Toote Hue Khwabon Mein HaQeeQat Dhundti Hoon


Toote Hue Khwabon Mein HaQeeQat Dhundti Hoon,
Patthar Ke Dilon Mein Mohabbat Dhundti Hoon,

Nadaan Hoon Main Ab Tak Ye Bhi Nahi Samjhi,
Bejaan Baaton Mein Ibaadat Dhundti Hoon,

Mere Jazbaaton Ki Keemat Yahan Kuch Bhi Nahi,
Be-Imaani Ke Bazaron Mein Sharafat Dhundti Hoon,

Is Ajnabi Duniya Mein Koi Bhi Apna Nahi,
Gairon Ki Aankhon Mein Apni Surat Dhundti Hoon,

Ummid Ki Thi Pyar Ki Bas Yehi Bhool Thi Meri,
Girte Hue AshQon Mein Apni Hasrat Dhundti Hoon...

Jin Raahon Par Chalta Hoga,


Jin Raahon Par Chalta Hoga,
Meri Yaad Mein Tadapta Hoga,

Zinda Ab Main Kaise Rahunga,
Shayad Ghar Mein Sochta Hoga,

Mujhse Jo Keh Na Saka Wo,
Ab Wo Khud Se Kehta Hoga,

Guzri Baatein Guzre Lamhe,
Yaad Wo Karke Rota Hoga,

Fursat Ise Ho Ke Na Ho,
Khat Wo Phir Bhi Likhta Hoga,

Udaas Dil Veeran Aankhein,
Rasta Mera Dekhta Hoga,

Sanjeeda Hogaya Hoga Shayad,
Ab Na Shararat Karta Hoga,

Mujhse Bichhad Kar Rota Hoga,
Gam Ko Kitna Samjhata Hoga...

Kya Ummid Karein Hum Unse Jinko Wafa Malum Nahi,

Kya Ummid Karein Hum Unse Jinko Wafa Malum Nahi,
Gam Dena Malum Hai Lekin Gam Ki Dawa Malum Nahi,

Jin Ki Gali Me Umr Ganwa Di Jivan Bhar Hairan Rahe,
Paas Bhi Aake Paas Na Aye Jaan Ke Bhi Anjaan Rahe,
Kaun Si Aakhir Ki Thi Humne Aisi Khata Malum Nahi,

Aye Mere Pagal Armaano Jhuthe Bandhan Tod Bhi Do,
Aye Meri Zakhmi Ummidon, Dil Ka Daaman Chhdo Bhi Do,
Tum Ko Abhi Is Nagri Mein Jeene Ki Saza Malum Nahi...


Saturday 24 March 2012

Gham Badhe Aate Hain Qatil Ki Nigahon Ki Tarah

Gham Badhe Aate Hain Qatil Ki Nigahon Ki Tarah
tum chupaa lo mujhe, ae dost, gunaahoN ki tarah

apani nazaroN maiN gunaahagaar na hote, kyuNkar
dil hii dushman hai muKhaalif ke gvaahoN ki tarah

har taraf zeest kii raahoN maiN kaDii dhoop hai dost
bas terii yaad ke saaye haiN panaahoN ki tarah

jin ki Khaatir kabhii ilzaam uThaaye, 'faakir'
wo bhii pesh aaye haiN insaaf ke shaahoN ki tarah

Roshan howa hai chand jaisay noor-e-aaftab say

Roshan howa hai chand jaisay noor-e-aaftab say
Meray dil ko mili roshni kisi bakhabar kay jawab say

meray hamdam mujhay roak na,safar say iss rah kay
mujhay seekhna hay bohat kuch,abhi zindagi ki kitab say

main bhalla kiyoon hairaan hoon us husn ki ada dekh kar
kay mehaknay ka hay raaz kiya,pocha kisi nay gulab say

lauta phir thak har kay,aakhir usi kay dar pay main
bas waheen mujhay panah mili,khahishoon kay sarab say

tu khuli jab woh haqeeqatain,meri rooh yeh pukaar uthi
kathin na ho koi lamha bhi shaid aagahi kay azab say

kash ko bhi milay kabhi wohi aarzoo,woh justujoo
kay jo motyoon ko dhoond lay,kahin door tah-e-aab say

Kab tak raho gey aakhir yun door door hum sey!

Kab tak raho gey aakhir yun door door hum sey!
milna parrey ga aakhir ik din zaroor hum sey

daaman bachaaney waaley ye be’rukhi hey kesi!
keh do agar huwa hey koi qasoor hum sey

hum chorr dein ge tum sey yun baat cheet karna
tum poochtey phiro ge apna qasoor hum sey

hum cheen lein ge tum sey ye shaan-e-be’niyazi
tum maantey phiro ge apna garoor hum sey

Hum zaat k auraq pe bikhri hui shab hain.

Hum zaat k auraq pe bikhri hui shab hain.
Meyar elehda hein, par insan to sub hain.

Asaib zada hai tere honto ki halawat.
Afsurda-e-khatir tere lehje ke sbab hain.

Dolat k trazu main bhi Imaan likha hay.
Hum sahib-e-kirdar hain, Parwarda-e-Rub hain.

Deroz k chehre ki ibadat bhi zara padh.
Maimaar hain ainda ke, Qatil tere kab hain.

Hum dono Mohabbat k siwa janty thay kya.
Esy to na thay Dost! k jis hal main ab hain.

Wo husan ka paikar hay, k Asaab ka Qatil.
Aankhian kisi Aahu ki hain, Yaqoot say lub hain.

Jismoo k Zakhyare ka sumandar hai,magar hum.
Ik Chashm-e-Sitam pesha se Ikhlas Talab hain

Soch Loo Chalne Say Pehlay Rastaa Dushwaar Hai

Soch Loo Chalne Say Pehlay Rastaa Dushwaar Hai
Ishiq Darwaza Nahi Hai Hijar Ki Dewar Hai

Phir Faraib'bay'Roz'o'Shab Ki Dosti Mumkin Nahi
Kar Diya Inkar So Inkar Hai !Inkar Hai

Itna Khush Hona Nahi Acha Ab Us K Qarb Main
Hijar Bhi In Vesaal K Lamhoo Ka His'say'dar Hai

Is Taraf To Rastoon Main Dhool See Urr'nay Lage
Ab To Jaa K Daikhna Hai Jo Samandar Par Hai

Phir Hawa'ayee'Sehar Mujh SaY Mun'harif Honay Lagi
Phir Mere Hintoon Pe Tere Naam Ki Takrar Hai

Ab Kahan Cho'yee'gi Us K Dil Ko Sach Ki Roshni
Jis K Hathoon Main Abhi Taak Jhoot Ki Talwaar Hai..!

Kaash aa jaaye mujhe jaan se guzarte dekhe

Kaash aa jaaye mujhe jaan se guzarte dekhe
us ki khwaahish thi kabhi mujkho bikharte dekhe

wo saleeqay se huwa mujh se gureyzan warna
log to saaf mohabbat se mukarte dekhe

tum ney dekha hey nikalta huwa sooraj logo
tum ne kuch khwaab suhaanay nahi marte dekhe

waqt hota hey har ik zakhm ka marham shayed
phir bhi kuch zakhm thay aesey jo na bhartay dekhe

aek sehmey huwey sahil ki tarha aankhon ne
kitne charhtey huwey toofan utarte dekhe

meri ankhon main ummad aaya hai darya dil ka


meri ankhon main ummad aaya hai darya dil ka
phir kahin toot gaya ho na kinara dil ka

bus muhabbat se riwayat hai kahani dil ki
char harfon se ibarat hai fasana dil ka

us ne dali hi nahin bheek nazar ke aur main
liye ankhon main kharra reh gaya kaasa dil ka

saans rukti hai tau phir jaan ka khayal aata hai
dil dharakta hai tau lag jata hai dharhka dil ka

issi koshish main buhat umar ganwa di main ne
phir bhi poora na huwa mujh se khasaara dil ka

meri payaab tamanna’in batati hain mujhay
sookh jaye ga koi roz main darya dil ka

badli badli si sada deti hai dharkan dil ki
hijr main aur hi ho jata hai lehja dil ka

kiyun na aye dost abhi tark-e muhabbat kar lain
iss se pehlay ke badal jaye iraada dil ka

fikr-e-dunya main mere dil ko bhulanay walay
teri dunya se ziada hai asaasa dil ka

us ki ankhon ne kaha chupke se, khul ja sum sum
khul gaya ain ussi waqt dareecha dil ka

ishq katay ga abhi aur chatanain "sagar"
aqal dekhi gi abhi aur tamasha dil ka

la phir ik baar wohi bada-o-jaam ay saqi

la phir ik baar wohi bada-o-jaam ay saqi
haath aa jaye mujhe mera maqaam ay saqi

teen so saal se hein hind ke maikhane bund
ab munasib hai tera faiz ho aam ay saqi

meri meenaye ghazal mein thi zara si baqi
shaikh kehta hai ke hai yeh bhi haram ay saqi

sher mardo se howa beshae tehqeeq tahi
reh gaye sufi-o-mulla ke ghulam ay saqi

ishq ki tegh-e-jigardar urali kis ne?
ilm ke haath mein khali hai nayam ay saqi

seena roshan ho to hai soz-o-sukhan ain hayat
hona roshan to sukhan marg-e-dawam ay saqi

tu meri raat ko mehtaab se mehroom na rakh
tere paimane mein hai maahe tamaam ay saqi

la phir ik baar wohi bada-o-jaam ay saqi
haath aa jaye mujhe mera maqaam ay saqi...

Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye



Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye
Tum Jo Na Rahay Saath Tou Hum Toot Ke Roye

Chaahat Ki Taman'na Thi Aur Zakhm Diye Tum Ne
Paayi Jo Yeh Saughaat Tou Hum Toot Ke Roye

Imkaan Na Tha Duur Talak Tajdeed-e-Ta'alluq Ka
Dekhay Jo Yeh Haalaat Tou Hum Toot Ke Roye

Anjaan Thay Hum Ab Tak Dard Ki Soorat Se
Hui Jo Mulaaqaat Tou Hum Toot Ke Roye

Jeeti Thi Sadaa Hum Ne HAr Baazi Teray Saath
Tanha Jo Sahi Maat Tou Hum Toot Ke Roye

Logo'n Ne Bahut Poochha Sabab Veraani-e-Dil Ka
Jab Ho Na Saki Baat Tou Hum Toot Ke Roye

Thi Dhoop Bahut Taiz Har Simt Judaayi Ki
Barsi Jo Na Barsaat Tou Hum Toot Ke Roye

Zad Mein Tha Khizaao'n Ki Ab Ke Dil-e-Barbaad
Bichhrray Jo Shajar-Paat Tou Hum Toot Ke Roye

Din Bhar Tou Rahay Chup Keh Duniya Ki Nazar Thi
Bheegi Jo Siaah Raat Tou Hum Toot Ke Roye

Samjha Tha Sadaa Tujh Ko Apna He Koi Hissa
Tukrro'n Mein Bati Zaat Tou Hum Toot Ke Roye

Hum Kartay Rahay Aaj Talak 'Uss Chaand' Ki Khwahish
Yaad Aayi Jo Auqaat Tou Hum Toot Ke Roye

Dil Ke Aayine Mein Mujhko Saja Liya



Dil Ke Aayine Mein Mujhko Saja Liya, 
Jabse Maine Tujhko Apna Bana Liya, 

Chand Taaron Mein Nazar Aye Chehra Tera, 
Jab Se Mere Dil Pe Hua Hai SanaM Pehra Tera, 

Ek Dooje Ke Dil Mein Apna Ghar Banana Hai, 
Teri Khatir Sab Hi Hadon Se Guzar Jana Hai, 

Tujhse Lipta Rahunga Bankar Kangna Tera, 
Chand Taron Mein Nazar Aaye Chehra Tera, 

Pyaar Mein HuM SanaM Ye Sara Jag Bhula Denge, 
Mar Ke Waade Chahaton Ke HuM Nibha Denge, 

Jaanse Bhi Mujhe Hai Pyara Sajna Mera, 
Chand Taron Mein Nazar Aaye Chehra Tera...

Kal Halki Halki Barish thi


Kal Halki Halki Barish thi,
Kal Sard Hawa ka Ruqs Bhi Tha.

Kal Phool bhi Nikhray Nikhray Thay,
Kal Un Me Aap Ka Aks bhi Tha,

Kal Badal Kaalay Gehrey Thay,
Kal Chaand Pay Laakhoon Pehrey Thay.

Kuch Tukray Aap ki Yadoon Kay,
Bari Dair say Dil Me Thehray thay,

Kal Yaadain Uljhi Uljhi Theen,
Or Kal Tak Yeh Na Suljhi Theen,

Kal Yaad Bohot Tum Aay Thay..
Kal Yaad Bohot Tum Aay Thay

Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey

Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey
Harf aaye naa tujh par , tujh say door rahey

Aatish e qalb bhujaney say kahan bhujtee hay
Dil main khawabeedaa agar yaad kay shurur rahey

Natawaan jism o jaan, dunyaa say woh takar laynaa
Hum essee baat pay had darjaa maghroor rahey

Dard barh jaye to khud aap marham hotaa hay
Suna jo hum nay to phir hum bhee zakhm choor rahey

Hansatey rahtey hain sar e bazm, hay aadat apnee
Hum to woh hain kay dukh uthaa kay bhee masroor rahey

Barh gayee had say sharafat to kuchlay jao gay
Yaad har pal tumhain dunya kaa yeh dastoor rahey

Ghazal main haal jo hum apna bayaan kar baithey
es dil kay hathon bohat majboor rahey

Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Yakeeni Hai Mohabbat Mein


Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Yakeeni Hai Mohabbat Mein
Main Bola, Theek Hai Per Ishq To Imaan Hota Hai
Woh Boli, Aarzuein Dil Ke Andsar Been Karti Hain
Main Bola, Theek Hai Mujh Ko Sunayi Dete Hain
Woh Boli, Hum To Jaise Eik Musalsal Dukh Ke Qaidi Hain
Main Bola, Theek Hai Yeh Zindagi Dukh Ka Tasalsul Hai
Woh Boli, Koi Shab To Khwab Mein Bhi Khwab Aate Hain
Main Bola, Theek Hai Kuch Hasratein Aise Bhi Karti Hain
Woh Boli, Baarishon Mein Aur Zyada Jaan Sulagti Hai
Main Bola, Theek Hai Yeh Aag Paani Ke Masail Hain
Woh Boli, Raat Kyun Mushkil Se Kat'ti Hai Judai Mein
Main Bola, Waqt To Kaifyaton Ka Naam Hota Hai
Woh Boli, Chahaton Mein Dard Ke Rehne Ki Khwaish Kyun
Main Bola, Dard Ke Maare Huon Ko Chain Milta Hai
Woh Boli, Rooh Ki Aasodgi Ko Kya Zaroori Hai
Main Bola, Rooh Ko Aalodgi Achi Nahin Lagti
Woh Boli, Chand Ki Aur Chandni Ki Kya Kahani Hai
Main Bola, Aadam-o-Hawa Kki Chahat Ki Nishaani Hai
Woh Boli, Be-Saropa Khwaishein Beemar Rakhti Hain
Main Bola, Aadmi Andoa Ke Batin Se Nikla Hai
Woh Boli, Door Reh Ker Dard Barh Jata Hai Seene Mein
Main Bola, Qurbatein Bhi Hijar Ke Khudshe Barhaati Hain
Woh Boli, Shaam Hote Hi Udaasi Phail Jaati Hai
Main Bola, Raat Bhi To Aansuon Se Ishq Karti Hai
Woh Boli, Zindagi Mein Tu Nahi To Zindagi Kab Hai
Main Bola, Har Taraf Ik La-Ubali Maut Hadwi Hai
Woh Boli, Ishq Ka Apna Ilehda Rang Hota Hai
Main Bola, Rang Ka Apna Ilehda Ishq Hota HAi
Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Wajah Sa Khauf Rehta Hai
Main Bola, Ishq To Be-Baak Logon Ka Hi Shewa Hai
Mohabbat Eik Pal Bhi Sukh Nahi Deti, Kaha Us Ne
Kaha MAin Ne, Mohabbat Ke Ilawa Kaun Sa Sukh Hai
Mohabbat Shehar Bhar Mein Goonj Jaati Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne, Mohabbat Ke Chupa Rehne Ki Khwaish Kiya
Mohabbat Chup Nahi Rehti Kisi Pal Bhi, Kaha Us Nne
Kaha Mmain Ne, Mohabbat Bin To Kayinaat Goongi Hai
Mohabbat Zehan Ka Ik Khaas Aalim Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne, Mohabbat Rooh Ki Dehleez Hoti Hai
Mohabbat Be-Sabab Tarpaye Rakhti Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne Ke Yeh Asbaab Kya Shai Hai Mohabbat Mein
Woh Kehti Hai Sitaare Aansuon Mmein Kyun Chamakte Hain
Main Kehta Hoon Mohabbat Roshni Mein Rang Bharti Hai
Woh Kehti Hai, Hawa Ke Haath Mein Kya Kya Nahi Aata
Main Kehta Hoon, Jo Dehleezon Ke Andar Dafan Hota Hai
Woh Kehti Hai, amaane Ko Dilon Se Ranj Kyunkar Hai
Main Kehta Hoon, Yeh Aazar To Sadiyon Ki Qismat Hai
Woh Kehti Hai, Tumhaare Baad Kyun Baarish Nahi Hoti
Main Kehta Hoon, Meri Jaan Hijar Sehraon Mein Rehta Hai
Woh Kehti Hai, Ke Khushiyon Mein Bhi Tum To Rone Lagte Ho
Main Kehta Hoon, Meri Aankhon Ko Sawan Acha Lagta Hai
Woh Boli, Tum Bhi Farhat Zindagi Se Rooth Jao Ge
Main Bola, Han, Shayed Mmaut Mujh Se Maan Jaye Gi
Woh Boli, Tum Khushi Ke Geet Ko Mayoos Karte Ho
Main Bola, Kya Karoon In Mukhtasar Geeton Ka Mausam Hai
Woh Boli, Tum To Farhat Khud Hi Khud Se Haar Jaate Ho
Main Bola, Kya Karoon Kamzor Hoon Aur Be-Sahara Hoon
Woh Boli, Kya Yeh Sab Kuch Itefaqan Hai Tumhara Gham
Main Bola, Yeh Bhi Mumkin Hai Yeh Sab Ehtaraman Ho
Mohabbat Mein Ghamon Ki Is Kadar Yalghar Kyun,.. Boli
Main Bola, Tum Kisi Din Yeh To Apne Aap Se Poocho
Woh Kehti Hai , Suno Farhat! Tumhara Khwab Kyun Toota
Main Kehta Hoon, Sarabi! Dil Mein Koi Kheench Parhti Thi
Tumhari Shairy Mein Zindagi Ki Siskiyan Kyun Hain
Main Bola, Aansuon Ki Ibtadayi Shakal Joh Thehri
Woh Kehti Hai Ke Farhat Shah Main Kuch Muztarib Si Hoon
Main Kehta Hoon, Sarabi! Tum To Meri Rooh Jaisi Ho
Woh Kehti Hai, Tumein Kyun Khauf Aata Hai Hawaon Se
Main Kehta Hoon, Sarabi! Deep To Aise Hi Hote Hain
Woh Kehti Hai, Chalo Farhat! Hawa Ke Saath Chalte Hain
Main Khamoshi Se Us Ke Saath Chal Deta Hoon Bujhne Ko
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Kahan Gayab Ho Sadiyon Se
Main Kehta Hoon, Hazaron Wasooson Ke Darmiyaan Gum Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Ki Bechainiyan Kya Hain
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Dooriyon Ke Dil Mein Hoti Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Khauf Ka Doraniya Kya Hai
Main Kehta Hoon, Jo Dil Aur Gham Ka Hota Hai Museebat Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Badlon Ki Umr Kitni Hai
Main Kehta Hoon, Tamazat Ke Mutabiq Paniyon Ke Waqt Jitni Hai
Woh Mujhse Poochti Hai, Raat Itni Be-zuban Kyun Hai
Main Kehta Hoon, Zuban To Dard Ki Shiddat Se Hoti Hai
Woh Kehti Hai, Yeh Khamoshi Bhi Kuch To Sochti Hogi
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Ghuftugo Ki Bheer Mein Kho Jaye
Woh Kehti Hai, Ke Farhat Kuch Dinon Se Bolte Kam Ho
Main Kehta Hoon, Kayi Dukh Bolne Se Rok Dete Hain
Woh Kehti Hai, Mujhe Yeh Soch Ker Batla Main Kaisi Hoon
Main Kehta Hoon, Sarabi! Sochne Mein Waqt Lagta Hai
Main Kehta Hoon, Tumhein Darya Kinare Kaise Lagte Hein
Woh Kehti Hai Tumhein Bichare Sahare Kaise Lagte Hein
Main Kehta Hoon, Mujhe Tum Hansti Gaati Achi Lagti Ho
Woh Mujh Se Poochti Hai, Dard Se Darne Lage Ho Kya
Woh Boli, Raat Se Kya Baat Karte Ho Akele Mein
Main Bola, Dard Ki, Kuch Kuch Mohabbat Ki, Judai Ki
Woh Boli, Chand Kya Aata Hai Tum Se Chonchlein Karne
Main Bola, Haan Kabhi Sapnon Ke Aangan Mein Utarta Hai
Woh Boli, Kaun Aksar Yaad Aata Hai Udaasi Mein
Main Bola, Kuch Puraane Raaste, Bachpan Aur Ik Larki
Woh Boli, Dard Ki Jaziyaat Mein Parne Se Kya Behtar
Main Bola, Dard Ko Khush Khush Sahein Aur Kooch Kar Jayein
Woh Boli, Zindagi To Dairon Ke Phailne Se Hai
Main Bola, Maut Bhi Ik Daira Hai Door Tak Phaila
Woh Boli, Rooh Ke Andar Kahin Per Aag Jalti Hai
Main Bola, Haan Dhuan Main Ne Bhi Dekha Hai Nigahon Mein
Woh Boli, Ik Dahekta Shor Sharyanon Mein Behta Hai
Main Bola, Haan Badan Per Aabley Maine Bhi Dekhein Hain
Woh Boli, Saans Per Bhi Dard Ke Korhay Baraste Hein
Main Bola, Haan Lahoo Per Neel To Maine Bhi Dekhein Hain
Woh Boli, Zaat Ki Teh Mein Na Jaane Kya Nahan Hoga
Main Bola, Jism Per Ubhri Waredon Se Bhi Zahir Hai
Woh Boli, Daq Zada Jeevan Chupati Phir Rahi Hoon
Main Bola, Nakhunon Ki Zardiyon Ne Ker Diya Aryan
Woh Kehti Hai, Teri Jaibon Mein Itne Khwab Kyunkar Hain
Main Kehta Hoon Ke Duniya Mein Mujhe Zinda Bhi Rehna Hai
Woh Kehti Hai, Tere Kalar Pe Mitti Ka Nishaan Kaise
Main Kehta Hoon Ke Majboori Alamat Chor Jati Hai
Woh Kehti Hai, Teri Aawaz Mein Masoomiyat Si Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh Mazloomiyat Ke Baad Aati Hai
Woh Kehti Hai, Tere Chehre Pe Karb Be-Karan Kaisa
Main Bola, Dil Ne Chehre Per Zara Sa Rang Chora Hai
Woh Kehti Hai, Tere Haathon Pe Zakhmon Ke Manazir Kyun
Main Kehta Hoon Ke Kuch Zevar Bare Anmol Hote Hain
Woh Boli, Umar Beeti Koi Bhi Milne Nahi Aaya
Main Bola, Umar Se Pooch Ke Aakhir Umar Kyun Beeti
Woh Boli, Husn Dhalne Ke Liye Hota Hai, Lagta Hai
Main Bola, Husn Ho, Ya Bakht Ho, Ya Chand Sooraj Hon
Woh Ab To Zulfon Mein Bhi Chandi Si Sarak Aayi
Main Bola, Rooh Tak Main Bhi Dararhein Parh Gayi Hongi
Woh Boli, Haath Dekho Be-Iradah Hi Larazte Hain
Main Bola, Haath Dikhlao To Phir Dekho Bhi Himmat Se
Woh Boli, Zindagi Ka Aakhri Kardaar Hairat Hai
Main Bola, Maut Se Pehle Koi Ghar Baar Hairat Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Badalon Ko Kab Bulao Ge
Main Kehta Hoon, Tumhein Jab Dhoop Ka Mausam Sataye Ga
Woh Mujh Se Poochti Hai, Panchiyon Se Aashnayi Hai
Main Kehta Hoon Ke Ashkon Ke Qataron Se Bhi Waqif Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Shehar Ki Buniyaad Mein Kya Hai
Main Kehta Hoon, Kisi Jangal Ka Qatal Aam Hai Shayed
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Samandar Mein Kabhi Utre
Main Bola, Ik Samandar Doosre Mein Kis Liye Utre
Woh Kehti Hai, Mujhe Mayoosiyan Rasta Nahi Deteen
Main Kehta Hoon NKe yeh Mayoosiyan Taqat Bhi Hoti Hain
Woh Kehti Hai, Bohat Tanha Hoon Main Is Puri Dooniyan Mein
Main Kehta Hoon Ke yeh Ehsaas To Ho Ga KHUDA Ko Bhi
Woh Kehti Hai Ke Mujh Per Shehar Ke Wehshi Lapakte Hain
Main Kehta Hoon Ke Tum Kardaar Ko Seena Sapar Ker Lo
Woh Kehti Hai, Hajoom Badrosh Se Khauf Aata Hai
Main Kehta Hoon, Mujhe Ujri Hui Galiyan Darati Hain
Woh Kehti Hai, Mujhe Be-Has Zamaane Se Shikayat Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh Shikwa Shikayat Rayigaan Hai Sab
Woh Boli, Tum Kahan Gayab Rehte Ho Raaton Ko
Main Bola, Main To Bas Aawara Phirta Hoon Udaasi Mein
Woh Boli, Phone Bhi Aksar Bohat Angej Rakhte Ho
Main Bola, Be Saropa Ghantiyon Se Khauf Aata Hai
Woh Boli, Tum Bohat Kanjoos Ho Khat Bhi Nahi Likhte
Main Bola, Khat Likhoon To Shairy Naraaz Hoti Hai
Woh Boli, Tum Kabhi Milne Chale Aao Jo Mumkin Ho
Main Bola, Yeh To Tum Ne Mere Dil Ki Baat Keh Di Hai
Woh Boli, Aaj Mausam Mein Ajab Si Khushgawari Hai
Main Bola, Han Yeh Mausam Pyaar Se Milne Ka Mausam Hai
Woh Kehti Hai Ke Ab Aawargi Se Kuch Nahi Haasil
Mujhe Hairat Hai Yeh Sab Kuch Woh Mujh Badal Se Kehti Hai
Woh Kehti Hai, Hawa To Banjh Pan Taqseem Karti Hai
Main Kehta Hoon, Magar Dharti Hawa KE bAS Se Bahir Hai
Woh Kehti Hai, Shabein Dhoke Mein Rakhti Hain Hamesha Hi
Main Kehta Hoon, Kahin Yeh To Nahi Dhoka Dinon Mein Ho
Woh Kehti Hai, Mujhe To Zindagi Se Eik Shikwa Hai
Hamesha Sailon Ko Maut Ke Saye Mein Rakhti Hai
Woh Kehti Hai, KHUDA Milta To Us Se Baat Karti Main
Main Kehta Hoon, Magar Main To Khamoshi Bant'ta Rehta
Woh Kehti Hai Ke Farhat Be-Zarar Rehna Nahi Acha
Main Kehta Hoon, Kayi Achaiyan Bas Mein Nahi Hoteen
Woh Kehti Hai, Meri Yaadon Se Kyunkar Door Rehte Ho
Main Kehta Hoon, Teri Parchaiyan Bas Mein Nahi Hoteen
Woh Kehti Hai, Tumhari Kuch Dua Bhi To Koi Ho Gi
Main Kehta Hoon, Jahan Tum Ho Yeh Raatein Bhi Wahin Hoteen
Ajab Ik Ma'noiyat Si Palat Aati Nazaron Mein
Tumhein Hum Dekhte Bhi Aur Baatein Bhi Wahin Hoteen
Sitaare Dekhne Aate Mujhe Teri Mohabbat Mein
Woh Kehti Hai, Sitaare Aur Sapne Jhoot Hote Hain
Woh Kehti Hai Ke Ab Roun To Aansoo Chubhne Lagte Hain
Main Kehta Hoon, Kisi Shayar Se Aankhein Maang Sakti Ho
Woh Boli, Aas Ki Faslein Kayi Beemar Hain Dil Mein
Main Bola, Jis Tarah Mumkin Ho Sawal Ko Bula Lao
Woh Boli, Main Adhoore Qaidiyon Ki Sif Mein Shamil Hoon
Main Bola, Is Ka Matlab Hai Ke Aazadi Nahi Mumkin
Woh Boli, Kuch Likhoon To Ungliyon Se Khoon Rasta Hai
Main Bola, Main To Aise Mein Bhi Apne Dil Se Likhta Hoon
Woh Boli, Dard Ne Asab Ko Murda Bana Daala
Main Bola, Ishq Ki Bechainiyon Se Zindagi Ker Lo
Woh Kehti Hai, Agar Sab Raaste Masdwa Ho JAyein
Main Kehta Hoon, To Phri Aap Tak Mehdood Ho Jayein
Woh Kehti Hai, Agar Be-Chainiyan Be-Sod Ho Jayein
Main Kehta HOON, Fana Fi Alnar Hasat o Bod Ho Jayein
Woh Kehti Hai, Agar Veraniyan Raste Mein Aa Jayein
Main Kehta Hoon, Hazaron Gham Bohat Saste Mein Aa Jayein
Woh Kehti Hai, Tumhein Takhti Pe Apne Harf Likh Doon To
Main Kehta Hoon, Teri Baatein Mere Baste Mein Aa Jayein
Woh Kehti Hai, Balayein Jab Bhi Mera Naam Leti Hain
Main Kehta Hoon, Tujhe Meri Duayein Thaam Leti Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Mujh Se Baatein Kyun Nahi Karte
Main Kehta Hoon, Abhi To Dekhne Ki Manzilon Per Hoon
Woh Mmujh Se Poochti Hai, Shaam Kya Veraan Hoti Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Hijar Ki Pehchaan Hoti Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Ratjaon Ka Rang Kaisa Hai
Main Kehta Hoon Ke Jaise Jaagne Wale Ki Aankhon Ka
Woh Mujh Se Poochti Hai, Hijar Ki Qismein Bhi Hoti Hain
Main Kehta Hoon, Jitne Wasl Utne Hi Hijar Hote Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Pyaar Ka Matlab Batao Ge
Main Kehta Hoon Ke Har Ik Baat Ka Matlab Nahi Hota
Woh Boli, Raaste Mein Dard Ke Kitne Samandar Hain
Main Bola, Aahkri Jo Zabt Se Bahir Nikal Aaye
Woh Boli, Ab To Mujh Mein Zabt Ka Yara Nahi Baaqi
Main Bola, Doobne Ko Phir To Tum Tayar Ho Jjao
Woh Boli, Kayinaatein Is Qadar Simti Hui Hain Kyun
Main Bola, Is Qadar Wasa't Kahan Se Aayi Hai Tum Mein
Woh Boli, Be Saropa Zindagi Se Kya Hua Hasil
Main Bola, Kuch Bhi Ho, Kuch Bhi Na Ho Aakhir Ajal To Hai
Mohabbat Mein Safar Kitna Zaroori Hai, Woh Kehti Hai
Main Kehta Hoon, Mohabbat Mein Kahin Thehra Nahi Jaata
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aashiyane Jal GAye Honge
Main Kehta Hoon Ke Shayed Itefaqan Bach Gaye Honge
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aaj Phir Goli CHali Ho Gi
Main Kehta Hoon Ke Han, Kuch Mayatein Ayi Hain Basti Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aaj Bhi Kuch Bomb Phatte Honge
Mmain Kehta Hoon, Koi Kehraam To Barpa Tha Sarhkon Per
Woh mujh Se Poochti Hai, Phir Adalat Mar Gayi Ho Gi
Main Kehta Hoon Ke Mujrim To Bazaat Khud Hi Munsif Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Baadshah-e-Waqt Kaisa Hai
Main Kehta Hoon, Bohat Mutemayin Rehta Hai Bechara
Woh Kehti Hai, Hawayein Raat Se Aangan Mein Bethi Hain
Main Kehta Hoon, Ghutan Apna Asar Dikhla Ke Chore Gi
Woh Kehti Hai, Khamoshi Farsh Per Saye Banati HAi
Mein Kehta Hoon, Udaasi Weham Banti Ja Rahi Ho Gi
Woh Kehti Hai Ke Parchayein Bhi Ab Humzaad Lagti Hai
Main Kehta Hoon Ke Tanhai Ne Pagal Ker Diya Ho Ga
Woh Kehti Hai, Meri Chat Per Hayole Raqs Karte Hain
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Wasoosoon Ne Bhes Badla Hai
Woh Kehti Hai, Koi Rota Hai Galiyon Ke Andheron Mein
Main Kehta Hoon, Judai Phir Rahi Ho Gi Museebat Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Hai Kuch Hairaan Lagte Ho
Main Kehta Hoon Ke Khud Ko Khwab Mein Hai Mutmayin Dekha
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Hai Itne Mutmayin Kyun Ho
Main Kehta Hoon Ke Khud Ko Khwab Mein Hairaan Dekha Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Muztarab Se Lag Rahe Ho Kuch
Main Kehta Hoon Ke Dil Mein Ishq Ka Mehmaan Dekha Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Pareshani Hai Farhat Jee
Main Kehta Hoon Ke Saare Shehar Ko Veraan Dekha Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Badshagooni Ka Sabab Kya Hai
Main Us Se Poochta Hoon, Zindagani Ka Adab Kya Hai
Woh Boli, Aa Tujhe Main Raakh Ki Taseer Batlaon
Main Bola, Raakh Ko Kya Raakh Ke Baare Batao Gi
Woh Boli, Aa Tujhe Main Dasht Ke Ma'ni Batati Hoon
Main Bola, Aa Tujhe Apne Dil Mein Le Ke Chalta Hoon
Woh Boli, Aa Tujhe Main Zindagi Ki Fikar Samjhaon
Main Bola, Maut Ke Maare Hue Ko Khoob Samjhao
Woh Boli, Aa Tujhe Main Hijar Ka Mara Dikhati Hoon
Main Bola, Han Mujhe Tum Le CHalo Mere Hi Kamre Mein
Woh Kehti Hai, Ghubaar-e-Waqt Mein Dhundla Gaya Jeevan
Main Kehta Hoon, Palat Ker Dekhna Takleef Deta Hai
Woh Kehti Hai Ke Tum Mujh Ko Pukara Hi Nahi Karte
Main Bola, Kya Karoon Koi Gawara Hi Nahi Karta
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya Mujhe Tum Yaad Karte Ho
Main Kehta Hoon Ke Jaane-Mann Tumhein Main Bhoolta Kab Hoon
Woh Kehti Hai Ke Ab To Rayigaan Lagta Hai Sara Kuch
Main Kehta Hoon, Mujhe To Rayigaani Ka Bho Dhoka Hai
Woh Kehti Hai, TAmanayein Salamat Hi Nahi Ab To
Main Kehta Hoon Ke Jeevan Mein Yeh Thehrao Bhi Aata Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Shorq, Chashm Tamasha Kya Hai
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Shorq Alam Ka Hissa Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Baiat-e-Sultaan- e-Gham Kyunkar
Main Kehta Hoon Ke Yeh Aadab Hain Rasm-e-Mohabbat Ke
Woh Mujh Se Poochti Hai, Jabar Per Sabar Masalsal Kyun
Main Kehta Hoon Ke Jab Tak JAng Ki Soorat Nahi Milti
Woh Mujh Se Poochti Hai, Alam-e-Bala Kahan Per Hai
Main Kehta Hoon, Hamari Fikar Ki Balayi Manzil Per
Woh Mujh Se Poochti Hhai, Sab Qayam-o-Nazam Kaise Hain
Main Kehta Hoon, Koi To Hai Jise Sab Theek Rakhna Hai
Woh Kehti Hai, Main Rizq Khaak Be-Ma'ni Hoon Duniya Mein
Main Kehta Hoon KE yEH Sara Nizaam-e-Aadmiyat Hai
Woh Kehti Hai, Main Ajz-e-Fitrat- e-Konain Hoon Janan
Main Kehta Hoon, Mujhe Maloom Hai Aye Azmat-e-Khaaki
Woh Kehti Hai, Main Khwab-e-Noor- e-Batin Hoon Sahifon Mein
Main Kehta Hoon, Kise Inkaar Hai Aye Khwaish-e-Yazdan
Woh Kehti Hai, Main Husn-e-Narmi Ehsaas Hoon Farhat
Main Kehta Hoon Ke Main To Khud Gawah-e-Lams- e-Shabnam Hoon
Woh Kehti Hai Ke Main Khushboo-e-Itr- e-Surkhi- e-Subah Hoon
Hawas Khamsa Alim Mujhe Mehsoos Karte Hain
Wwoh Boli, Main Aseer-e-Hijrat Hoon Zamanon Se
Main Bola, Be-Thikana Pan To Sadiyon Ka Asasa Hai
Woh Boli, Main Gul-e-Shaakh- e-Gham-e- Tanhai Hoon Farhat
Main Bola, Main Mazar-e-Hijar Hoon Wehshat Ke Narghe Mein
Woh Boli, Main Mata-e-Ghair Hoon Tere Liye Farhat
Main Bola, Han Yeh Sadiyon Se Mohabbat Ka Vateera Hai
Woh Boli, Main Dar-e-Iwaan- e-Hairan Hoon Zamane Mein
Main Bola Main Musafir Hoon, Main Bola Main Musafir Hoon
Woh Boli, Main Talooh-e-Aaftaab Husan Ka Manzar
Main Bola, Han Agar Main Chashm-e-Benaye Tamanna Hoon
Woh Kehti Hai, Andhere Raaston Se Khauf Aata Hai
Main Kehta Hoon, Abhi To Qabar Bhi Aani Hai Raste Mein
Woh Kehti Hai, Zamane Ka Rawaiya Dil Mein Chubhta Hai
Main Kehta Hoon Ke Achi Baat Hai Tum Mukhtalif To Ho
Woh Kehti Hai Ke Jaane Kyun Khamoshi Bhi Khatakti Hai
Main Kehta Hoon Ke Mumkin Hai Tumhein Kehna Ho Kuch Us Ne
Woh Kehti Hai, Samandar Sa Koi Rehta Hai Aankhon Mein
Main Kehta Hoon, Kabhi Mere Bhi Dil Mein Jhaank Ker Dekho
Woh Kehti Hai, Mujhe Sahil Se Nafrat Hai Museebat Mein
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Buzdali Hai Rayigaani Ki
Woh Boli, Baarishon Se Mustaqil Jhagre SE Kya Hasil
Maon Bola, Baarishon Se Hat Ta'luq Teri Khatir Hai
Woh Boli, Main Majboor Hoon Jeevan Ke Changal Mein
Main Us Ke Jhoot Per Bola, KHUDA Ka Reham Ho Tum Per
Woh Boli, Ishq Hai To Ishq Mein Milna Milana Kya
Main Bola, Ishq Ka Apna Nizaam-e-Wasl Hota Hai
Woh Boli, Dooriyan To Kuch Mohabbat Kam Nahi Karteen
Maon Bola, Han Magar Milne Ki Khwaish Ko Barhaati Hain
Woh Boli, Saath Bandh Jaane Se Behtar Hai Bichar Jayein
Main Us Ki Baat Per Dukh Se Hansa Aur Kuch Nahi Bola
Woh Kehti Hai, Safar Mein Kyun Sitaare Saath CHalte Hain
Main Bola, Jis Tarah Darya Kinaare Saath Chalte Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Chand Ki Basti Kahan Per Hai
Main Us Ki Baat Per Us Ehad Mein Hairaan Hota Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Sooraj Mein Sulagta Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aur Dil Ko Thaam Leti Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Rooh Ki Larzish Ke Baare Mein
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Be-Qarari Raqa Karti Hai
Woh Mujh Se Poochti Hai, Almiya Kya Cheez Hoti Hai
Main Kehta Hoon, Mohabbat Aur Nafrat Zindagi Aur Maut Hai Shayed
Woh Boli, Sawanon Mein Ab Woh Pehle Rang Kam Kam Hain
Main Bola, Ab Piya Bhi To Sukhi Ke Sang Kam Kam Hain
Woh Boli, Nain Kuch Kehte Hue Aksar Jhijhakte Hain
Main Bola, Dil Mein Bethe Chor Ko Rasta Nahi Milta
Woh Kehti Hai Ke Jhanjhar Ab Tumhein Mayil Nahi Karti
Main Kehta Hoon, Tumhein Ab Zindagi Qayil Nahi Karti
Woh Kehti Hai Ke Peele Phool Bhi Khushboo Nahi Dete
Main Kehta Hoon, Judai Theek Se Chubhti Nahi Dil Mein
Wo Kehti Hai, Mohabbat Hadson Ke Kheench Laati Hai
Main Kehta Hoon, Mohabbat Mo'jzon Ko Shakal Deti Hai
Woh Kehti Hai, Hawayein Pairh Se Manoos Hoti Hain
Main Kehta Hoon Ke Un Ke Darmiyan Rishta Purana Hai
Woh Kehti Hai, Sadayein Parbaton Se Laut Aati Hain
Main Kehta Hoon Un Ke Un Se Tukrana Nahi Aata
Woh Kehti Hai, Fizayein Husn Se Aabad Rehti Hain
Main Kehta Hoon, Agar Is Husn Ki Taqdees Baaqi Ho
Woh Kehti Hai, Wafayein Shehar Se Bezaar Kyunkar Hain
Main Kehta Hoon Ke Itne Chup Dar-o-Deewar Kyunkar Hain
Woh Kehti Hai, Ghatayein Dasht Ke Is Paar Kyunkar Hain
Main Kehta Hoon Ke Yeh To Pyaas Ki Apni Karamat Hai
Woh Boli, Aasmanon Ki Taraf Nazrein Nahi Uthteen
Main Kehta Hoon Ke Shayed Bojh Parta Hai Nigahon Per
Woh Kehti Hai, Zameend Pairon Ke Neeche Sard Kyunkar Hai
Main Kehta Hoon, Zameend Hum SE Bohat Naraz Rehti Hai
Kaha Us Ne, Meri Itraaf Mujh Ko Qaid Rakhti Hain
Kaha Main Ne Ke In Itraaf Se Bahir Nahi Kuch Bhi
Kaha Us Ne, Darakht Apni Jarhon Se Pyar Karte Hain
Kaha Main Ne, Jarhein Ik Roz In Ko Mar Deti Hain
Kaha Us Ne, KHUDA Ache Bure Ki Baat Sunta Hai
Kaha Main Ne, Use Aawaz Ki Pehchaan Aati Hai
Woh Boli, Main Chehakte Badalon Ki Gungunahat Hoon
Main Bola, Tum Mehakte Motiya Ki Muskurahat Ho
Woh Boli, Main Suhaane Mausamon Ke Geet Jaisi Hoon
Main Bola, Tum Haseen Dehatiyon Ki Pareet Jaisi Ho
Woh Boli, Main Chamakti Chandni Ke Rang Jaisi Hoon
Main Bola, Tum Mohabbat Ke Purane Jhang JAisi Ho
Woh Boli, Main Lehakti Wadiyon Ki Khushbuon Jaisi
Main Bola, Qaaf Ki Shehzadiyon Ki Khushbuon Jaisi
Woh Boli, Main Samandar Paar Ki Janat Se Aayi Hoon
Main Bola, Main Tumhaare Khaas Istaqbaal Ko Aaya
Woh Kehti Hai Ke Mujh Se Titliyan Bhi Pyar Karti Hain
Main Kehta Hoon, Unhein Tum Baagh Ke Phoolon Si Lagti Ho
Woh Kehti Hai, Mujhe Jugnoo Bhi Choone Ke Liye Aayein
Main Kehta Hoon, Tumhein Woh Chand Ki Mehmaan Samajhte Hain
Woh Kehti Hai, Meri Aawaz Ko Gunbad Taraste Hain
Main Kehta Hoon, Tumhari Bazgusht Mehrbaan Chahein
Woh Kehti Hain, Main Hans Doon To Fizayein Raqs Kar Uthein
Main Kehta Hoon, Tu Ro De To Ghatayein Raqs Kar Uthein
Woh Kehti Hai, Parinde Pyar Se Mujh Ko Bulate Hain
Main Kehta Hoon, Shajar Aksar Tere Qisse Sunate Hain
Woh Boli, Dard Aksar Raat Ko Soya NahI Karta
Main Bola, Is Tarah To Koi Bhi Rota Nahi Karta
Woh Boli, Hum To Ik Shaam-e-Ghareeban Ghar Mein Rakhte Hain
Main Bola, Karbala Waalon Se Kuch Nisbat Theharti Hai
Woh Boli, Dil Ki Veraani Ke Saye Cheekh Uthte Hain
Main Bola, Raat Ke Pichle Pehar Ik Jashan Hota Hai
Woh Boli, Dard Se Aksar Koi Aawaz Aati Hai
Main Us Se Poochta Hoon, Kaun Bichra Hai Jawani Mein
Woh Boli, Eik Deewar-e-Ana Hayil Rahi Ab Tak
Main Bola, Ab Talak Nuqsaad Bhi To Ho Chuka Kaafi
Woh Boli, Raat Ke Maathe Pe Teeka Hai Suhagan Sa
Main Bola, Han Yeh Peshani Anokhi Hai Zamane Mein
Woh B oli, Har Taraf Jangal Mein Ik Pazeb Bajti Hai
Main Bola, Har Taraf Chanchal Hawa Phirti Hai Bhagi Si
Woh Boli, Sardiyon Mein Dhoop Ki Hiddat Kabhi Dekhi
Main Bola, Tum Ne Mere Lams Ki Shiddat Kabhi Dekhi
Woh Boli, Baarishon Mein Shehar Dhal Jjata Hai Lamhon Mein
Main Bola, Han Magar Aankhein Bohat Thak Jaya Karti Hain
Woh Boli, Garmiyon Mein Pairh Ki Chaon Bulaati Hai
Main Bola, Garmiyon Mein Pairh Bhi Kaisi Panahein Hain
Woh Boli, Zaat Ko Taqseem Hi Karte Raho Ge Kya
Main Bola, Waqt Ke Apne Taqaze, Dil Ke Apne Hain
Woh Boli, Phir Palat Aaye, Chale To Phr Palat Aaye
Main Bola, Band Kooche Ka Safar Hai Zindagi Apni
Woh Boli, Har Sarak Jaati Hai Gham Ke Shehar KI Janib
Main Bola, Aur Agar Woh Shehar Apne DIl Mein Ho To Phir
Woh Boli, Gham Hamesha Saath Deta hai Museebat Mein
Main Bola, Ik Zara Thehr, Mujhe Ghor Se Dekho
Woh Boli, Kya Zaroori Tha Mujhe Tum Saath Hi Rakhte
Main Bola, Rooh Bin Main Jism Kya Karta, Kahan Jata
Woh Boli, Aa Gaya Hai Rateela Mausam Judai Ka
Main Bola, Main Tera Sehra Noord Mustaqil Thehra
Woh Boli, Rait Urti Hai To Aankhon Mein Bhi Parti Hai
Main Bola, Dard Ki Mari Hui Aankhon Ko Us Se Kya
Woh Boli, Soch Lo Is Dhoop Mein Kaante Baraste Hain
Main Bola, Yeh To Acha Hai Badh Per Phool Mehkein Ge
Woh Boli, Raat Zakhmon Per Bohat Teesein Bhi Barsein Gi
Main Bola, Zakhm Per Zakhmon Ki Seh Jaane Ki Adat Hai
Woh Boli, Aarzuon Ke Lahoo Ka Zayiqa Kya Hai
Main Bola, Talkh Hai Meeta Hai, Karwa Hai Raseela Hai
Woh Kehti Hai Ke Main To Maang Mein Sooraj Sajaongi
Main Kehta Hoon Ke Sooraj Ki Wazahat Ho Magar Pehle
Woh Kehti Hai, Main Apne Dil Mein Ik Deewar Uthaon Gi
Main Kehta Hoon Ke Main Is Baat Ka Matlab Nahi Samjha
Woh Kehti Hai, Main Aankhon Mein Koi Sehra Basaon Gi
Main Kehta Hoon Ke Benayi Jhils Jaye Gi Aise To
Woh Kehti Hai, Main Pairhon Per Tumhara Bakht Likhoon Gi
Main Kehta Hoon Ke Pairhon Se Adawat Hai Tumhein Koi
Woh Kehti Hai, Main Paani Per Tera Chehra Banaon Gi
Main Kehta HooN, Mujhe Lagta Hai Tera Dil Bhi Paani Tha
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Kise Mujrim Samajhte Ho
Main Kehta Hoon, Use Jo Dard Ke Ma'ni Na Samjha Ho
Woh Mujh Se Poochti Hai, Jhoot Aur Sachaiyan Kya Hain
Main Kehta Hoon Ke Niyyat Aur Natayij Ki Pazerayi
Woh Mujh Se Poochti Hai, Sab Se Pehle Kaun Rehta Tha
Main Kehta Hoon Ke Andaza Ya Mafrooza Hi Mumkin Hai
Who Mujh Se Poochti Hai, Kaun Reh Jaye Ga Duniya Mein
Main Kehta Hoon Ke Bilkul Ik Nayi Aur Ajnabi Duniya
Woh Mujh Se Poochti Hai, Maut Ke Baare Mein Batao Ge
Main Kehta Hoon, Khat-e-Tanseekh Hai Aaghaz Se Pehle
Woh Mujh Se Poochti Hai, Jangalon Mein Kaun Rehta Hai
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Shehar Mein Rehne Se Khayif Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aasmanon Se Pare Kya Hai
Main Kehta Hoon, Na Veraane Na Aabadi Na Barbadi
Woh Mujh Se Poochti Hai, Waqt Ko Tum Kya Samajhte Ho
Main Kehta Hoon Ke Har Ehsaas Ke A'dad Ki Ginti
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kya KHUDA Ko Mante HO Tum
Mian Kehta Hoon, Yaqeenan Aur Use Mehsoos Karta Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Yeh Mazahib Ke Masail Kya Hain
Main Kehta Hoon Ke Duniya Ke Bare Logon Ki Baatein Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Khwab Ki Ta'beer Ke Baare
Main Us Se Poochta Hoon, Aqal Ki Jageer Ke Baare
Woh Mujh Se Poochti Hai, Zindagi Ke Raaz Ke Baare
Main Us Se PoochTA Hoon, Dharkanon Ke Saaz Ke Baare
Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Aur Din Ki Musafat Kya
Main Kehta Hoon, Yeh Saaye Hain Kisi Qaidi Musafir Ke
Woh Mujh Se Poochti Hai, Hum Agar Kuch Bhi Nahi Hain To
Main Kehta Hoon, Nahi Hona Bhi Hota Hai JAhanon Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Aqal Kya Hai Aur Dil Kya Hai
Main Kehta Hoon Ke Ik Ikhtelaaf Amal Paheem Hai
Woh Kehti Hai Ke Deewanon Ka Koi Kya Bharosa Hai
Main Kehta Hoon, Bharose Ke Liye Duniya Hi kYA Kam Hai
Woh Kehti Hai, Kisi Ko Mat Bata Dena Mere Baare
Mmain Kehta Hoon, Magar Ik Geet Ko Aur Chandni Shab Ko
Woh Kehti Hai, Suno Farhat, Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Main Kehta Hoon, Meri Jaan Tum To Khud Meri Rayazat Ho
Woh Kehti Hai, Yeh Saare Log Ktyun Baatein Banate Hain
Main Kehta Hoon, Meri Jaan Yeh Mohabbat Ka Muqadar Hai
Main Kehta hOON, Mohabbat Kayinaati Geet Hoti Hai
Woh Thora Gunguna Ke Aansuon Mein Doob Jati hAI
Woh Mujh Se Poochti Hai, Har Taraf Ik Be Kali Kyun Hai
Main Kehta Hoon, Koi Anjaam Aa Pohancha Hai Basti Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Be Sarosamaan Kab Se Ho
Main Us Se Poochta Hoon, Is Qadar Nadaan Kab Se Ho
Woh Mujh Se Poochti Hai, Kaun Lawaris Hai Muqatil Mein
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Qatal Karne Ke Liye Aaye
Woh Mujh Se Poochti Hai, Shehar Ki Halat Ka Kya Ho Ga
Main Kehta Hoon, Koi Din Mein Balayein Loot Jayeingi
Woh Mujh Se Poochti Hai, Karbala Kya Phir Bapa Ho Gi
Mmain Kehta Hoon, Nahi, Ab Is Qadar Tanha Nahi Koi
Woh Boli, Darrd Ke Us Paar Bhi Eik Dard Hota Hai....

Tumhare dard ko phechan bhi tu jata hai

Tumhare dard ko phechan bhi tu jata hai 
woh rothta hai magar maan bhi tu jata hai 

main aik boot ka poojari hoon par yeh sochta hoon 
boton ke ishq main iman bhi tu jata hai 

tu jaan uss pe chirakti hai bawajod iss ke 
woh tere ghar se pareshan bhi tu jata hai 

woh shakhas tujh ko rolata zaroor hai lekin 
woh tere qurban bhi tu jata hai.

Muhobat ik Dua hai Mujhe bus ye Dua daina

Muhobat ik Dua hai
Mujhe bus ye Dua daina
Khata koi jo ho jaye
Kabhi lehja badal Jaye
Zaroori baat reh jaye
Mera chehra bigar jaye
Agar pehchaan na paoon
Tumhain agar jaan na paoon
Dua daina
Muhobat ik Dua hai
Tum mujhe bus yeah Dua daina
Sitaray toorna paoon
Tumharay kaam na aaon
Tawazun jo na reh paye
Nazar bandi nazar aye
Ishara ho shararat ka
Koi dhoka basarat ka
Dua daina
Muhobat ik Dua hai
Tum mujhe bus yeah Dua daina
Main tum se keh nai paya
Tumharay naam ka saya
Maray humrah rahta hai
Mujhe her pal yeah kehta hai
Koi mushkil jo dar aye
Tasawur mara dhundlaye
Dua daina
Muhobat ik Dua hai
Tum mujhe bus ye Dua daina….

Yaad aati hai to zara kho jate hain



Yaad aati hai to zara kho jate hain,
Aasu ankho me utar aye to zara ro jate hain,
Nend to nahi ati ankho me lekin,
Aap khawbon me aaoge ye sonch k so jate he…

kuch pana chahata hoon magar Kuch khone se darta hoon


kuch pana chahata hoon magar Kuch khone se darta hoon
ye ahsaas kuch aisa hai is ahsaas ke hone se darta hoon
kehna to chahta hoon bahut kuch unse magar unke labo ki khamoshiyon se darta hoon.
chahata hoon nazaron se nazerein milana magar unki aankhon ki madhosiyon se darta hoon
du jamane bhar ki mohhabatt unhe magar unki masoomiyat se darta hoon.
chahoon unko umar bhar ke liye pana magar unke kisi aur ke hone se darta hoon.
kuch pana chahta hoon magar kuch khone se darta hoon ye ahsaas kuch aisa hai is ahsaas ke hone se darta hoon..

Wo Kehti hai Suno Jana Muhbbat Moom Ka Ghar Ha


Wo Kehti hai Suno Jana
Muhbbat Moom Ka Ghar Hai
Tabish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De Ais ko

Main Kehta Hoon
Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho
Wahan Kch Or Ho Tu Ho
Muhbbat Ho Nai Sakti

Wo Kehti Hai Sada Aisay He
Kaya tum Muj Ko Chaho Gaye
Keh Main Ais Main Kami Koi Bhi
Gawara Ker Nai Sakti

Main Kehta Hoon
Muhbbat Kaya Hai
Yeh Tum nay shikaya hai
Mujay Tum Say Muhbat K Siwa
Kch b Nai Ata

Wo Kehti Hai
Judai Say Buht Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna
Mumkin Nai Hai Ab

Main Kehta Hoon
Yahi Khadshay Buht Muj Ko sattay Hain
Mager Sach Hai Muhbbat Main
Judai Saath Chalti Hai

Wo Kehti Hai
Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum
Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien
Bhula Do gaye

Main Kehta hoon
Kabhi Ais Baat per socha nai main nay
ager ik pal ko b sochon tu
saansien ruknay lagti hain


wo kehti hai tumhien muj say
muhbbat ais kader kio hoon
Keh main ik aam si lerki
tumhien kio khas lagti hon

main kehta hoon
kabhi khud ko meri ankhon say tum dekho
meri dewangi kio hoon
yeh khud he jaan jao gi

wo kehti hai
mujay warftgi say dekhtay kio ho
keh main khud ko buht
keemti mehsoos kerti hoon

main kehta hon
Mata-e-jaan buht anmool hoti hai
tumhien jab dekhta hoon zindgi
mehsoos kerta hoon

wo kehti hai mujay alfaz k jugno nai miltay
keh tumhien bata sakon
keh dil main mere
kitni muhbbat hai

main kehta hoon
muhbbat tu Niighaon say jhalkti hai
tumhari khamosi muj say
tumhari baat kerti hai

wo kehti hai
batao na kis ko khonay ser darta ho
batao kon hai wo jisay
yeh musam bulatay hain

Main kehta hoon
yeh meri sheri hai aiena dil ka
zara dekho batao kaya
tumhien ais main nazar aya

wo kehti hai
Atif ji buht baatien banatay ho
mager sach hai yeh baatien
buht he shaad rakhti hain

main kehta hoon
yeh sab baatien yeh fasany ik bhana hain
keh pal kch zindagani k
tumhare saath kat jaien
phir us k baad khamoshi ka
dilkash raqs hota hai
nagihaien bolti hai or
lab khamosh rehtay hain

Dost Kya Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain




Dost Kya Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain,
Har Naye Mod Par Ek Zakhm Naya Dete Hain,

Tum Se To Khair Ghadi Bhar Ki Mulakat Rahi,
Log Barson Ki Rafakat Ko Bhula Dete Hain,

Kaise Mumkin Hai Ke Dhuwan Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jale,
*** Padti Hai To Patthar Bhi Sada Dete Hain,

Kaun Hota Hai Musibat Mein Kisika Aye Sanam,
Aag Lagti Hai To Patte Bhi Hawa Dete Hain,

Jinpe Hota Hai Bahut Dilka Bharosa Jane Kyon,
WaQt Padne Pe Wohi Log Daga Dete Hain...